Hazrat Abu Said Mubarik Makhzumi
Rahmatullah Alayh
Aap ka ism graami Mubarik bin Ali hai. Aap ke waalid mohtaram ka naam Ali bin Hussain Makhzumi Rahmatullah Alayh hai. Makhzumi Baghdad ke aik muhalla ka naam hai isi wajah se aap Makhzumi mashhoor hue. Aap apne zamane ke Sultan ul Aulia, Burhan ul Asfia thay. Aap Hazrat Sheikh Abu al Hasan Ali Hankari Rahmatullah Alayh ke khalifa hain .
Hazrat Ghaus Pak Rahmatullah Alayh farmatay hain kay mein gayarah saal taq aik burj mein ibadat e Elahi mein masroof tha yahan taq kay mein ne tey kar liya tha kay is waqt taq kuch nah khaoon ga jab taq Allah nah khilaye. Is terhan chalees roz taq kuch nah khaya nah piya. Chalees din ke baad 1 shakhs aaya aur kuch khana mere samnay rakh kar chala gaya. Qareeb tha kay mera nafs shiddat e bhook se khanay par gir parhe. Mein ne kaha qisam hai Rab e Zuljilal ki jo ehad mein ne Allah Taala se baandha hai is se nahi phiron ga. Is ke baad mein ne batin se kisi shakhs ki aawaz suni jo kehta tha Aljooh Aljooh. Isi douran Sheikh Mubarik Makhzumi Rahmatullah Alayh tashreef laaye aur is aawaz ko sun kar farmaya ae Abdul Qadir Rahmatullah Alayh yeh kaisi aawaz hai. Mein ne kaha yeh nafs ka qaliq o iztiraab hai lekin rooh barqarar hai. Is ke baad Sheikh Rahmatullah Alayh ne farmaya kay mere makaan par chalo. Lekin mein nahi gaya aur dil hi dil mein kaha kay bahar nahi jaoon ga .
Is douran achanak Hazrat Khizar Alaihi Salam tashreef laaye aur mujh se kaha kay utho aur in ki khidmat mein jao. Jab mein Hazrat Sheikh Rahmatullah Alayh ke doulat kida mein haazir howa to dekha kay Sheikh Rahmatullah Alayh apne doulat kade ke darwazay par kharray mera intzaar kar rahay thay. Hazrat Sheikh Mubarik Rahmatullah Alayh ne farmaya ae Abdul Qadir jo mein ne tum se kaha tha kya woh kaafi nahi tha jo Khizar Alaihi Salam ko kehna para. Is ke baad phir Hazrat Sheikh Mubarik Rahmatullah Alayh mujhe apne makaan ke andar le gaye khana muhayya kya aur luqmah mere munh mein rakha jahan taq kay mein asooda ho gaya. Is ke baad mujhe khirqah pehnaya aur phir mein un ki sohbat mein rehne laga. Hazrat Sheikh Mubarik Rahmatullah Alayh ne madrassa banwaya aur is ki imarat apni zindagi hi mein Hazrat Ghaus Pak Rahmatullah Alayh ke supurd kar di. Chunancha Hazrat Ghaus Pak Rahmatullah Alayh ka mazaar isi madrassa mein hai .
Aap 27 Shaban Al Muazam 513 Hijri ba roz jumaraat is jahan e faani se rukhsat hue. Aap ki aakhri araam gaah Aap ke qaim kardah madrassa mein hai jo Baghdad Iraq mein waqay hai .